Mann M而A (from "table no. 21")
Gajendra Verma -Mann Mera (From 'Table No.21')
Lyrics by:Aseem Ahmed Abbasee
Composed by:Gajendra Verma
Saari raat aahein bharta
Pal pal yaadon mein marta
Maane na meri mann mera
Thode thode hosh madhoshi si hai
Neem behoshein si hai
Jaane kuch bhi na mann mera
Kabhi mera tha par ab begaana hai yeh
Deewana deewana sumjhe na ho
Kabhi chup chup rahe kabhi gaaya ye kare
Bin pooche tere tarifen sunaya ye karen
Hai koi haqeeqat tu ya koi fasana hai
Kuch jaane agar toh itna ki yeh tera deewana hai
Hai re mann meraa maane na mann meraa
Rag rag woh samaya mere
Dil par woh chaaya mere
Mujh mein woh aise jaise jaa
Gire barsaat mai paani jaise
Koi kahaani jaise
Dil se ho dil tak jo bayaan
Aashiq dil tera purana hai yeh
Deewana deewana samjhe na ho
Kabhi chup chup rahe kabhi gaaya ye kare
Bin pooche tere tarifen sunaya ye karen
Hai koi haqeeqat tu ya koi fasana hai
Kuch jaane agar toh itna ki yeh tera deewana hai
Hai re mann meraa maane na mann meraa
Tujhko jo dekhe yeh mujhko leke
Bas tere peeche peeche bhaage
Tera junoon hai tu hi sukoon hai
Tujhse hi bandhein dil ke dhaage
Kabhi chup chup rahe kabhi gaaya ye kare
Bin pooche tere tarifen sunaya ye karen
Hai koi haqeeqat tu ya koi fasana hai
Kuch jaane agar toh itna ki yeh tera deewana hai
Hai re mann meraa maane na mann meraa