Jo Bhi Hai
Ek kamra hai,
Aur ghup andhera hai,
Jo bhi hai, mera hai.
Uss kamre meiñ maiñ hun,
Aur khayaal tera hai,
Jo bhi hai, mera hai.
Darwaaze aur khidkiyañ,
Ghul gaye haiñ deewaroñ meiñ,
Aur chhat par yaadoñ ka daera hai,
Jo bhi hai, mera hai.
Daraaz meiñ, ek purani diary hai,
Usmeiñ kuch adhuri nazmeiñ hai,
Unn Sab meiñ zikra tera hai,
Jo bhi hai, mera hai.
Raat thak jaati hai toh subah hoti hai,
Aur dhoop se pardoñ par banta,
Ek Chehra hai,
Jo bhi hai, mera hai.
Ek kamra hai,
Aur ab roshni ka ghaera hai,
Jo bhi hai mera hai.
Uss kamre meiñ maiñ hun,
Aur khayaal tera hai,
Jo bhi hai mera hai