Khat
Hum ko mile, ik arsa ho gaya,
Maiñ theek huñ aur tum bhi, khush hona.
Haan yaad hai, jo kiya tha mashwara,
Par iss khat meiñ, wo nahi hai dohraana.
Aur maiñ ye nahi kehta, ki hoga phir ishq na,
Dono milenge logoñ se, bas jayenge
kisike sang adhoora-adhoora haina?
Hum-he-hum thae waqt jab tha haath meiñ,
Farq koi tha na din aur raat meiñ,
Ban gaye thae jaise koi aur he,
Phir ulajhte he gaye haalaat meiñ.
Aur maiñ ye nahi kehta, ki hoga phir ishq na,
Dono milenge logoñ se, bas jayenge
kisike sang adhoora-adhoora haina?
Ye khat jo likh diya hai, ye aakhri hai,
Ye hai adhoora, par aakhri hai.
Haina?