Khuda Hai Kya
Tu mausamoñ ki tarah nahi hai
Aur na he saaloñ ki tarah
Jo guzar jaate haiñ
Tu baarish ki tarah nahi hai
Aur na he logoñ ki tarah
Jo aate-jaate rehte haiñ
Tu hawa ki tarah hai
Har-su
Dikhti nahi hai
Par hai
Mehsoos hoti hai
Khuda hai kya?
Tu zabanoñ ki tarah nahi hai
Aur na he gawahoñ ki tarah
Jo mukar jaate haiñ
Tu chaand-suraj ki tarah nahi hai
Aur na he sitaroñ ki tarah
Jo dikhte chupte rehte haiñ
Tu rooh ki tarah hai
Gehri
Dikhti nahi hai
Par hai
Mehsoos hoti hai
Khuda hai kya?
Tu neendoñ ki tarah nahi hai
Aur na he khwaaboñ ki tarah
Jo ujad jaate haiñ
Tu mas-haloń ki tarah nahi hai
Aur na he khanabadoshoń ki tarah
Jo rukte-chalte rehte hain
Tu mahak ki tarah hai
Mushk
Dikhti nahi hai
Par hai
Mehsoos hoti hai
Khuda hai kya?