Tasalli
Maiñ kabhi na aun jo, kya mujhe phir bhi dhundoge,
Maiñ zubaañ na kholuñ toh, kya mujhe phir bhi sunloge?
Hijr meiñ hum, jal gaye thae toh ab tak nahi haiñ bujhe,
Aur hifaazat se , rakhli hai jo tasalli di toone mujhe.
Khat jo thae pad chuke, kya unhe phir se khologe.
Tere ghar ka raasta rata hai, jaise khoon ko rateiñ haiñ inn ragoñ ke raaste,
Tere sang waqt jo kata hai, meri mayz pe saja hai aur tanga diwaaroñ pe.
Haath thae jo sar talae, neend meiñ phir tatologe ,
Maiñ zubaañ na kholuñ toh, kya mujhe phir bhi sunloge?